Nazm - Raja-Rani | Naresh Nandanwar - The NN Life

Latest

An "Artist" And An "Aashiq".

Thursday, May 9, 2024

Nazm - Raja-Rani | Naresh Nandanwar

Nazm - Raja-Rani  Naresh Nandanwar


Ek tha raja ek thi rani,

Zamane ke thi phir vohi kahani,

Raja ko tha rani se pyaar,

Par rani ho gayi thi kisi aur ki deewani,

Rani ne liya tha kisi aur ka sahara,

Dekhte dekhte ho gaya raja besahara,

Jab talak raja ko khabar aayi,

Rani ne thi bohot mauj udaayi,

Kisi aur ke kareeb thi jaati,

Jaane anjaane raja ka dil thi dukhaati,

Thi na raja ko khabar ki pith piche uske kya ho raha,

Jisse kar liya tha usne ishq voh uske piche logo se hambistar ho raha,

Yoohi ek din raja ko khabar padi,

Dekhte dekhte rani ki bhi nazar padi,

Rani ne kaha raja se bhul ho gayi,

Raja kya karta kaha 'mujhse kyun tu door ho gayi?',

Aise hi raja rani se door ho gaya,

Akele akele phir tanha rehta khud hi khud ka gunehgar ho gaya,

Chalte chalte raah me uske ek apsara aayi,

Usko sambhalti uska khayal rakhti uspe dil usne apna lutayi,

Raja bhi dheere dheere ab khush ho gaya,

Rani ko bhi ab voh dheere dheere bhulta sa gaya,

Rani ko dheere dheere aakhir baat samajh aayi,

Pachtate rote voh raja ke paas aayi,

Raja se maafi maangi gidgidaayi aur pyaar ki bheek maangi,

Raja ne saari suni aur bola kya kar sakta hu rani,

Ab ho chuka hai bohot der usko,

Karta tha tujhse ishq, kar diya tune choor mujhko,

Ab koi karti hai mujhse bhi ishq, nahi kar sakta door majboor usko,

Ab raja ke paas aa gayi hai do raaniya,

Ab tum batao kya kare raja aur uski raaniya,

Usse toh nahi huyi naadaaniyaan?

Ab tum hi batao kya kare raja aur uski raaniya,

Raja se kuch bhi toh na huyi nadaaniyaan?

Bas sehta gaya barbaadiyaan!

Batao batao kya karegi ab raja aur uski raaniya?


Written by - Naresh Nandanwar

No comments:

Post a Comment