#Nazm - Laila-Majnu | Naresh Nandanwar - The NN Life

Latest

An "Artist" And An "Aashiq".

Sunday, October 1, 2023

#Nazm - Laila-Majnu | Naresh Nandanwar

#Nazm - Laila-Majnu


#Nazm - Laila-Majnu  Naresh Nandanwar

Laila ko bhi tha Majnu se pyaar,

Yoohi toh nahi hota koi Dildaar,

Tadapta Majnu tha toh roti Laila bhi thi,

Har pal Jaagti, kehti "Ishq hai ya rab!" Laila bhi thi,

Jamane me Mohobbat ka sila joh har dum hua,

Laila-Majnu ka sila bhi vohi hua,

Ho gaye judaa dono ek-duje se,

Marte har pal aur jeete ek-duje se,

Kya hota unka bhi joh hona ishq ka anjaam yehi hai,

Dono margaye bicchadkar logo ka kehna yehi hai,

Aaj bhi yaad karta hai zamana unko,

Ho gayi phir bhul kehta hai zamana khudko,

Phir na ho kisi jodi ka anjaam Laila-Majnu,

Maaf karna ho gayi bhul Laila-Majnu!!!


~ Naresh Nandanwar

No comments:

Post a Comment