Nazm - Dil Ka Ek BarBaad Shehar | A Poetic Story | Naresh Nandanwar - The NN Life

Latest

An "Artist" And An "Aashiq".

Saturday, October 29, 2022

Nazm - Dil Ka Ek BarBaad Shehar | A Poetic Story | Naresh Nandanwar

Nazm - Dil Ka Ek BarBaad Shehar | A Poetic Story | Naresh Nandanwar

#Nazm - Dil Ka Ek BarBaad Shehar


(A poetic story!) 


Dil me, ek aabaad shehar, huaa karta tha, 

Voh shehar joh har waqt khusboo-e-gul se shehar ko nawaja karta tha, 

Us shehar ki aabaad galiyon me ek ladki raha karti thi,


Jiski khushboo se shehar-shehar aur ek aabaad shehar lagta tha, 

Us haseen ladki ko shikayat thi ki use koi samajh nahi paata, 

Dil lagane wale hazaaro the lekin uske dil se koi dil lag nahi paata, 


Isi aas me ke yeh ghutan kabhi toh rukegi, 

Uske husn ke alawa bhi sukoon ki chahat duniya kabhi toh karegi, 

Uski tanhai uske voh behisaab aansu yeh kambhakth duniya kabhi toh puchegi, 

Isi aas me ek arse tak apni khaamoshi se voh jhuhh ti rahi ghut ti rahi,


Uske bayaan kiye khat padhe jaaye toh har ek pal laakh maut marti rahi, 

Uski khaamoshi ki jabaan shayad koi samajh na paya, 

Dekha ek arse baad jab logo ne uske kamre me jaakar, 

Voh shaqs shayad bahot der tak vaha tham nahi paaya, 


Voh shaqs ab mar chuka tha, 

Us shehar se humesha ke liye jaa chuka tha, 

Baad uske voh shehar ek sukha-phool bankar reh gaya, 


Jis shehar me baad uske kabhi baarish naa huyi,

Vohi baarish jisse use bohot khushi milti thi, 

Vohi khushi jisse use jeene ki kuch aur din chahat milti thi. 


Voh sab kuch phir dubara ho na saka. 

Voh sab kuch phir dubara ho na saka! 


Usi darmiyaaan, 


Ek khat joh us tak bohot der se pohocha, 

Jisme kisi ne us haseen se apni mohobbat ka izhaar kiya tha, 

Jisme kisi ne uske jism ke alawa bhi pehli dafa uski khushi ka ehtraam kiya tha,


Voh kambhakth khat us tak pohochne me bohot der ho gayi, 

Kya kahe us aashiq se ek bohot badi bhool ho gayi!


Voh ladka bhi yeh bhool swikaar kar paaya, 

Jeete ji zinda rehkar bhi voh zinda reh nahi paaya! 


Isi taraha voh khusboo se mehekta shehar puri tarha barbaad ho gaya, 

Mohobbat ka ek ganda daagh humesha ke liye uske naam ho gaya! 


Voh Dil jisme yeh sab kuch ghatit huaa, 

Baad uske zamane me kaafi charchit huaa!!! 


Written And Narrated By -

Mr. Naresh Nandanwar (NN)


#TheStoryOfLove #TheStoryOfSadness

#TheStoryOfDeath #TheStoryOf-Ill-Fated

.

#Shayar #UrduNazm #UrduShayari #UrduPoetry #UrduAdab #UrduLiterature

#NN #LossOfSeparation #TheNNLife

No comments:

Post a Comment