Top 34 Shayaris of NN | Sher-o-Shayari | NN - The NN Life

Latest

An "Artist" And An "Aashiq".

Saturday, May 14, 2022

Top 34 Shayaris of NN | Sher-o-Shayari | NN

Top 34 Shayaris of NN  Sher-o-Shayari

Sher-o-Shayaris


#1

Kuch toh likha hota mukkadar me ke mai-tum hum hote,

hum hote gar phir bhi judaa, naa ye gham hote.


#2

Jab hai mukkadar-e-zindagi me hi gham,

karlo laakh duaayein, na honge ye kam.


#3

Kisika dil dukhakar tum kaise jiyoge,

maroge tum bhi aur bohot maroge.


#4

Hai mujhko manjur teri fariyaad ae khuda,

tu bas jeete ji toh mujhko maar mat.


#5

Hai ab rooh meri bhi laapata,

ab tere saath, khudki bhi khudko talaash hai.


#6

Mujhe chain-o-karar naseeb nahi ae dost,

tum mujhse dur na jaao.


#7

Tumhare ishq me, tumhare dukh me duba rehta tha mai,

kaha gaya voh zamana, jab tanha rehta tha mai.


#8

Tere alawa khuda se meri fariyaad kya hai,

gar ab maut aa bhi gayi, toh ab bacha kya hai.


#9

Zindagi ki ajeeyat bhi kya ajeeyat hai,

zindagi bhar maut ko tarso, aur maut ke waqt zindagi ko.


#10

Meri zindagi me maut ka yooh intezaar hai,

jis taraha zindagi ka intezaar koi murda kare.


#11

Ya Allah, reham ata kar,

joh hai mujhse judaa, use aur judaa kar.


#12

Tujhse judaa hokar ab tak mujhe, kuch aisa kar jaana chahiye tha,

aakhir ab tak toh mujhe, mar jaana chahiye tha.


#13

Bewafa bhi tu, pasand hai mujhe,

kuch is kadar tujhse, pyaar hai mujhe.


#14

Ab tujhe har chehre me dhundhta hu mai,

kya sitam hai ke, ishq karta hu mai


#15

Agar maut aa jaaye mujhe, toh kya gila mujhe,

tu nahi mila, ye ishq ki saja hai mujhe.


#16

Aisa hi man kiya khud ko tabaah kiya jaaye,

socha, tujhko yaad kiya jaaye.


#17

Agar tanhai bhulane ke liye sahara liya jaaye,

kya kare voh shaks joh besahara kiya jaaye.


#18

Tere baghair gale se niwala, utarta kaisa hai,

tu nahi paas mere, tere baghair yeh dil dhadakta kaise hai.


#19

Mujhe nahi maalum, kya hua mujhe,

logo ne jaana, ishq hua mujhe.


#20

Maine har duaa me, yeh duaa ki hai,

duaa na ho agar meri kabul toh ae khuda, badduaa de mujhe.


#21

Mai chahta tha tumhe mankuha banana meri,

qismat ne kuch aisa khel khela, hum dost tak na ban paaye.


#22

Maut mujhko manjur hai, lekin

maut tujh karan ho, toh koi baat ho.


#23

Hai maasumiyat-e-mohobbat kuch aisi,

mai roya toh hasa voh bhi nahi.


#24 

Mai chahu bhi toh, koi chahat nazar nahi aati,

tere siwa toh mujhe, koi rahat nazar nahi aati.


#25

Mujhe badduaa di gayi,

bin tere zinda rehne ki.


#26

Koi toh ho na, joh ishq kare mujhse,

mai nahi karta, koi dusra toh kare.


#27

Hai aarzoo ke tum ho jaao meri,

hai shikwa ke tum nahi ho sakte mere.


#28

Tum gar bewafa hote, toh bhi accha tha,

tumhare kuch na hone ne, mujhe bohot kuch hona sikha diya.


#29

Kab tak yaadon me yooh jeevan katega,

kabhi aao tum bhi na!


Kab tak manau mai us khuda ko,

kabhi manao tum bhi na!


#30

Mujhe aarzoo hai ki koi mujhse bewafai kare,

naa chahte huye bhi ishq ki safai kare.


Phir mai bewafa se is taraha rooth jaau,

jis taraha meri zindagi mujhse rootha kare.


#31

Mere kuch na kehne pe, aap sun liya kijiye,

agar dikhe hum khafa, aap mana liya kijiye.


#32

Hai ye zindagi ki haqiqat ke,

nahi bachi koi justjoo baaki.


Tumhe dekhte rahu ya mar jaau,

ab nahi faqat koi aarzoo baaki.


#33

Agar kabhi mujhe kisi se pyaar ho jaaye,

kya kare rooh, jab jism judaa ho jaaye.


#34

Tum sochti hogi bhi toh yeh, kar sakti hu mai kya,

joh kar gayi thik nahi, ise badal sakti hu mai kya.


Jab tak bhi mai jeeyunga, kuch is tarah hi jeeyunga,

na voh kadam uthane se tere, bach sakti thi hum dono ki zindagi bhi kya.


Writings by "NN-Naresh Nandanwar"

No comments:

Post a Comment