#Poetry
Aaj phir naya din aaya, naya din bit gaya,
mai sahi salamat hu!
Aaj phir mai roya, tujhe yaad kiya,
mai sahi salamat hu!
Aaj phir us khuda se bhik maangi, teri khariyat aur tujhse milne ki,
mai sahi salamat hu!
Log mera haal dekhkar aksar yehi puchte hai, kaise ho sach batana,
kehta mai yehi hu, mai sahi salamat hu!
Mai shayad ab hu bhi aur nahi bhi,
par na jaane lagta kyun yehi hai, mai sahi salamat hu!
~NN
No comments:
Post a Comment